Saturday 13 August 2011

Raksha Bandhan

Dekho aaya Raksha Bandhan
Sabko bhaya Raksha Bandhan...
Pyar aur viswas ka ek atut Bandhan...
Sab mil kar manaye Rakhsa Bandhan.


Bhai Behen ka hai anokha bandhan...
Puri Duniya me sabse nyara bandhan...
Hai ye ek aisa Bandhan...
Jisme kabhi nai hoti Anban...
Sabko bhati Raksha Bandhan.


Sajti hai sab bhaiyon ki kalai...
Rang Birangi Rakhiyan Jo Behen ne Pehnai...
Kar ke dua rab se rakhti wo upwas...
Pyare bhaiya kabhi na ho udas.


Bhaiya bhi karte apni behen se waada...
Nibhayenge uska saath, aur na tootega irada...


Bhai ke maathe par Behen lagaye Mangal tika...
Jhoom uthe saawan, mit jaaye saari pida...


Karte hai sabhi bhai apni behen ko pyar...
Wo sada khush rahe, yahi hoti hai faryad...


Bhai Behan ka anokha tyohar...
Manaye pura Bharat...
aur jhoom uthe Sansaar...
Yeh hai ek rangin tyohar...
Raksha Bandhan hai iska naam.
                                            ... To all Brother's & Sister's

Sunday 7 August 2011

Dosti


Dosti ek hasin paheli hai…
Sukh dukh ki saheli hai...
Shuru hoti hai bachpan mein...
Aur zindagi bhar saath nibhati hai...
Mar jaate hain log Par dosti amar ho jaati hai….
Bachpan ki ek dosti jeevan bhar yaad aati hai…
Antim samay par ek jhalak ko taras jaati hai…
Jhalak mil jaaye to jannat bhi choti ho jaati hai…
Dosti ek hasin paheli hai…

Humne bhi kai dost banaye…
Kuch sachhe to kuch baiman paaye…
Kisi ne mujhe raah dikhlaya…
To kisi ne manjil batlaya…
Kuch ne hardam saath nibhaya…
Aur sab ne mujhe hansna sikhlaya…
Is hasin zindagi me maine anek dosto ko paaya…

Mere bachpan ke nilare dost…
Mere pyare pyare dost…
Yaad tumhari aati hai…
Mujhko bada satati hai…
Kab fir tumse mulakat hogi…
Fir kab wahi shararat hogi…
Bachpan ke wo hasin pal…
Na jaane kab wapas hogi…
Ab to bas ek hi tamanna hai...
Hardam saath mai rehna hai...
Chahe sukh ho ya ho gamo ki barsat…
Har waqt saath me bhigna hai…
Dosti zindagi hai…
Ek hasin paheli hai…

Dosto ke liye mai rehta hardam taiyar…
Bhool ke saare gam failata hun dosti ka haath…
Chahe jitney bhi jhagre ho jaaye…
Chahe jitna wo mujhse rooth jaaye…
Par mai kabhi nai roothunga…
Agar mujhse kuch galti ho jaaye…
To bas itna chahunga…
Dost samajh kar bhula dena us galti ko…
Par Galti se bhi mujhko na bhulana…
Dosti ek hasin paheli hai…
Is paheli ko kabhi na suljhana…

                  Purely dedicated to all my childhood friends.....

Saturday 6 August 2011

kaise....?????

Bahut chaha tumhe hamesha se hi...
Par tumhe samjhaun kaise....???


Bahut roya mai tumhare yaad mai...
Magar tumhe dikhaun kaise...???


Bahut tadpa tumse bicharne ke baad...
Lekin tumhe ehsaas dilaaun kaise...???


Tujhse pehle na kisi ko chaha...
Na tere baad kisi aur ko chah paaunga...
Magar yahi baat tumhe mai bataun kaise...???


Ghut raha hun mai...
Magar fir bhi ji raha hun...
Naraz ho... janta hun...
Magar fir bhi hans raha hun...
Itna to bata do hume...
Ki khud ko samjhaun or tumhe manaaun kaise...???


Tum khush ho kisi aur ke saath...
To aansu baha kar hi sahi...
Par khush to mai bhi hun...
Tasalli hai mujhe koi hai tumhare saath...
Par ye toh bata do...
Dil mai lagi is aag ko mai bujhaaun kaise...???


Kuch majburiyan hamari bhi thi tumhari tarah...
Kuch galtiyan humse bhi hui tumhari hi tarah...
Maaf to tumhe kar diya humne...
Magar tum bhi to batate chalo ki...
Khud ko maaf karun kaise...???


Sonchta hun ab sab kuch bhula dun...
Tumse judi saari yaadon ko mita dun...
Par jara meri majboori to dekho...
Bas itna sonch kar reh jata hun...
Ki kuch aur ho to lauta bhi dun...
Par tumhara diya pyaar...
Mai tumhe lautaun kaise...???


Yun to milna mushkil hai par...
Agar galti se kisi din...
Takra jao is duniya ki bheed mai...
Tum mujhse ek ajnabi ki tarah...
Tab tumhe tumhare apno ke bich dekh...
Mai tumhe apna bataun kaise...???


Sayad aur kabhi na mil payenge hum ek dusre se...
Sayad tum bhi khush ho apni duniya mai kisi dusre kai aane se...
Ek khawais dil mai thi...
Jab se tumko chaha...
Ki jab bhi marun, dur se hi sahi...
Ek nazar tumhe dekh paaun...


Jaanta hun tum milna nahi chahogi humse kabhi...
Par itna jarur bata dena...
Meri us aakhri khawais ko...
Mai pura karun kaise...???


Mai pura karun kaise!!!