Saturday 6 August 2011

kaise....?????

Bahut chaha tumhe hamesha se hi...
Par tumhe samjhaun kaise....???


Bahut roya mai tumhare yaad mai...
Magar tumhe dikhaun kaise...???


Bahut tadpa tumse bicharne ke baad...
Lekin tumhe ehsaas dilaaun kaise...???


Tujhse pehle na kisi ko chaha...
Na tere baad kisi aur ko chah paaunga...
Magar yahi baat tumhe mai bataun kaise...???


Ghut raha hun mai...
Magar fir bhi ji raha hun...
Naraz ho... janta hun...
Magar fir bhi hans raha hun...
Itna to bata do hume...
Ki khud ko samjhaun or tumhe manaaun kaise...???


Tum khush ho kisi aur ke saath...
To aansu baha kar hi sahi...
Par khush to mai bhi hun...
Tasalli hai mujhe koi hai tumhare saath...
Par ye toh bata do...
Dil mai lagi is aag ko mai bujhaaun kaise...???


Kuch majburiyan hamari bhi thi tumhari tarah...
Kuch galtiyan humse bhi hui tumhari hi tarah...
Maaf to tumhe kar diya humne...
Magar tum bhi to batate chalo ki...
Khud ko maaf karun kaise...???


Sonchta hun ab sab kuch bhula dun...
Tumse judi saari yaadon ko mita dun...
Par jara meri majboori to dekho...
Bas itna sonch kar reh jata hun...
Ki kuch aur ho to lauta bhi dun...
Par tumhara diya pyaar...
Mai tumhe lautaun kaise...???


Yun to milna mushkil hai par...
Agar galti se kisi din...
Takra jao is duniya ki bheed mai...
Tum mujhse ek ajnabi ki tarah...
Tab tumhe tumhare apno ke bich dekh...
Mai tumhe apna bataun kaise...???


Sayad aur kabhi na mil payenge hum ek dusre se...
Sayad tum bhi khush ho apni duniya mai kisi dusre kai aane se...
Ek khawais dil mai thi...
Jab se tumko chaha...
Ki jab bhi marun, dur se hi sahi...
Ek nazar tumhe dekh paaun...


Jaanta hun tum milna nahi chahogi humse kabhi...
Par itna jarur bata dena...
Meri us aakhri khawais ko...
Mai pura karun kaise...???


Mai pura karun kaise!!!

1 comment:

Vishal Singh said...

bahut chaha tumne unhe...
par unhone tumhara dard samjha nahi...
wo kush to bahut hogi aaj...
par jab bhi tujhe yaad karegi...
maa kasam ro padegi!!!


ek dost hone ke naate...
main tumse yahi kahunga....
ki, pyar sirf ek baar hi hota hai...
agar wo nahi samajh paaye...
to kya hua...
apni yaadon mein unhe,,,
hamesha basaye rakhna.